where are you?
Where is everybody going... Leaving me alone.. jisse pyaar karo, jisse dil lagao.. woh chala jaye chodkar... Jeevan kya ek dhoka hai.. Jab khush ho jao... Fir koi duniya chodkar chale jaata hai.. Aur young age deaths are worse... Itnaaaa... Yaad aate hain.. papa, Rahul bhaiya, papa, Ravi bhaiya.. sab kyun chale gaye.. itni jaldi... Bhagwaan aap aisa kyun karte ho? Ravi Bhaiya, kaise mujhe itna sir aankhon pe rakha.. itna bigaada, itna laad kiya.. we were like friends... Mujhe apni diary padhai, mujhse saare secrets share kiye, mujhe ghumaya firaya, jahan maine kaha mujhe lekar gaye, mujhe baar baar apne ghar bulaya.. Abb aao mere phone pe, uthao na Mera phone, baatein karo.. kahan ho?? Door se mujhe dekhkar hanso.. Bolo kuch.. kahan ho? Karo kuch, yahan sudharo, apne maa baap ko dekho, family ko dekho.. Kahan chale gaye.. ? Kabhi nahi miloge, apne ghar nahi bulaoge, kabhi baat nahi karoge? Happy birthday ka jawab nahi Diya๐ฅ Jahan ho sukoon se rehna.....